मंगलवार, 5 जून 2007

"Translate in to Hindi"

1956-58 batch ke M.A.in English tab ke most respectable post "Principle of Govt. High School par virajmaan tha ek sadharan kisaan ka beta. Sadharan kissan hone ke naate unake Pita jee apane kai mahatvpurn bhavnao ko daba kar ek-ek paisa laga diya tha Babu saheb ki padhai me.matlab sab kuchh loota kar bete ki safalta se garvit tha, harshit tha.Beta bhi apane principalship se huye kamaai se Ghar-pariwar chalaane laga tha.

Pita shree chuki gaon ke kisan the,sahajata aur saralta uname koot-koot kar bhari thi, so wo kisaan ke paramparagat dress me hi raha karte the,aur Principal Saheb Principle ke rup me
hi rahe, wahi bak-bak safed kurta-dhoti,aur polished shoes with socks.Unaka ye rup unake pita jee ko hi nahi pure area ko bhata tha.tab jyada padhai ka chalan bhi nahi tha.Area me unake vidawta ki dhak thi,us par faraatedaar chamchamati english un 6 ft.principle ki abhaa
ko kai guna kar jaati thi.

Dehaati pita ko putra moh ke saath apane khoon,pasine se sinchi gai lahlahati fasal {principal saheb } ko weekly dekhane ki ichchha prabal thi .es kaaran jab kabhi bete ko fursat nahi milti saturday aane ki to khud unake papa ji kuch nasta,dahi,ghee,apane baag ka fal lekar milane chale jaate the.Essi kram me kisi Monday ko Papa jee,bete ke school pahuch gaye.Tatkaalin dress kuchh ganda jaroor tha, ess karan naya Asst. Teacher unake papa jee ko Pahchaan bhi na paya,ya fir shayed kabhi mila nahi tha.so well mentioned
Principal ke Papa se wo jod nahi paya,wait karane ko bol apane class chala gaya.

Principal bete ke Kisaan papa se mulakat hui. Baap to tum-tadaam karke hi baat karta hai.
so kuchh teacher ko atpata laga,limit cross ka mamla laga hoga. so Teacher ke puchhane par ki "Ye Kaun hain ? Principal putra reply him "He is My Servent ".Ouestion hindi me
jabab Angrezi me hone se Pitajee ko shak hua. kuchh der sochane ke baad unhone Translate kara liya usi school ke teacher se.Halaanki,servent ko naukar aur naukar servent
kaha jata hai wo jaante the but He is my ka matlab samajhne bhar ki dher thi, School me
hangama shuru ho gaya Ek baap ko apane Bete se apane baap ke liye high quality ka visheshan laga dene ke baad kitna kast hua hoga, kalpna kiya jaaye to roan khada ho jata hai.

Ek haara hua baap khoob khari-khoti sunaane ke baad,foot-foot kar roya,thak kar wapas apane gaon ke liye bujhe kadam se rasta naapana shuru kiya.do kadam chalkar palta aur
Jore se bola "aaj may putravihin ho gaya,aur tujhe apane ghar kya Gaon me bhi nahi aane
dunga jete jee".Unaki zid bhi puri hui. aaj Baap-bete dono God ke ghar hain.Par baaten rah jaati hai seekh dene ke liye ab hum kuchh paaye na paaye,It fully depend upon your sweet will.
Ye sahi hai ki baap ke nirnay ke saath pura samaj khada tha aaj apmanit hote rahane wale baapon ki sankhya bahut adhik hai so samaj apana role kahan se nibha payega.Kamjore samaj, kamjore baap, muhjore bete ke samane ghutana tek diya hai.
JBJP

2 टिप्‍पणियां:

बेनामी ने कहा…

R. Sanjay Bhaiya,

I liked your blog its excellent. Bhaiya, you can write in Hindi alphabet too, it is possible.
I am trying to get detail information about Hindi Alphabet. I will get back to you soon.

Please keep it up.

Yours truly younger brother,
Vivek

बेनामी ने कहा…

R. Sanjay Bhaiya,

I liked your blog its excellent. Bhaiya, you can write in Hindi alphabet too, it is possible.
I am trying to get detail information about Hindi Alphabet. I will get back to you soon.

Please keep it up.

Yours brother,
Vivek